HINDI POEMS

RAASTA

Chun liya haijo raasta tune,
chal uss par datke jara,
Houslo k chingariyon se
mushkilon ko tu de jalaa...


Andherisi raat mein
chal aaya hai tu itne durr,
Chand ghante hain

uss suhane savere ko
jismein hai, tere sapno ka nur!


Mushkilein tumhe ruka dengi,
apne saamne jhuka dengi.
Par rukna na tu, jhukna na tu,
Mushkilein khud hi

apna raasta badal lengi...




ENGINEER KO KOI TENSION NAHI


12th me kaafi marks milaaye,
Aur engineer banneke khwaa banaye

Socha engineering mein 80% ka average
Lekin har sem me sirf 50% ki kamaai
Aur log kehte hai, engineer ko koi tension nahi!

Padhaai ke sath sehat bhi nahi
'workout' 'aur 'exercise' humse durr hi sahi
Canteen ke nashte se hi humne bhukh mitaai
Aur log kehte hai engineer ko koi tension nahi!

Job ke sawaal ka kiske pass hai jawaab nahi
Aur 100% placement ke liye har koi IIT me nahi
Interviews aur GD jaise hum par pressure kai
Aur log kehte hai engineer ko koi tension nahi!

BE ke baad college se hona padega dur
Inn 4 saal ke doston ko jaana padega bhul
Emotions control karne ke sivaay humaare pass koi option nahi
Aur log kehte hai engineer ko koi tension nahi!

Har mushkil ko jhel lete hain hum
Solutions milte hai hume har kadam
Dimaag mein pressure aur chehre pe hasi
Isliye shayad log kehte hai 

Engineer ko koi tension nahi! 



PARINDEY


Ghar chodkar apne
chal pade hum parindey...


Naye aasman me
Nayi raahon ko talaashne,


Zonke tez hawaa ke,
Na kyun humko gira de...


Paron pe apne
Behisaab yaqeen karke


Manzil haasil karne ke

Ab thaane hain iraade!!


Aniket Jangam / Artist / All rights reserved
Powered by Webnode
Create your website for free! This website was made with Webnode. Create your own for free today! Get started